talKHi-e-mai talKHi-e-haalat ki tauhin hai
talḳhī-e-mai talḳhī-e-hālāt kī tauhīn hai
nashshe meñ sach bolnā sach baat kī tauhīn hai
gar nahīñ hai aa.ina patthar uThā lo dosto
yūñhī ḳhālī haath phirnā haath kī tauhīn hai
aadmī hī aadmī se baat kartā hai janāb
baat karne meñ bhalā kis baat kī tauhīn hai
aap ne tasvīr khiñchvā.ī madad karte hue
ye to kār-e-ḳhair kī ḳhairāt kī tauhīn hai
paas baiThe duur taknā vo bhī ḳhāmoshī ke saath
ye to hañste bolte lamhāt kī tauhīn hai
dil pe chhānā aur āñkhoñ meñ na aanā bādalo
ye to sāvan kī hatak barsāt kī tauhīn hai
bā.is-e.azāz hai dariyā meñ milnā qatre kā
kaun kahtā hai mohabbat zaat kī tauhīn hai
talKHi-e-mai talKHi-e-haalat ki tauhin hai
nashshe mein sach bolna sach baat ki tauhin hai
gar nahin hai aaina patthar uTha lo dosto
yunhi KHali hath phirna hath ki tauhin hai
aadmi hi aadmi se baat karta hai janab
baat karne mein bhala kis baat ki tauhin hai
aap ne taswir khinchwai madad karte hue
ye to kar-e-KHair ki KHairaat ki tauhin hai
pas baiThe dur takna wo bhi KHamoshi ke sath
ye to hanste bolte lamhat ki tauhin hai
dil pe chhana aur aankhon mein na aana baadalo
ye to sawan ki hatak barsat ki tauhin hai
bais-eazaz hai dariya mein milna qatre ka
kaun kahta hai mohabbat zat ki tauhin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.