talwar le rahe the himayat mein phul ki
talvār le rahe the himāyat meñ phuul kī
patjhaḌ ke morchoñ meñ ajab ham ne bhuul kī
apne lahū se shaam ko sairāb kar diyā
din bhar ke intizār kī qīmat vasūl kī
bikhrā hai is tarah se har ik zarra-e-vajūd
sūrat nahīñ hai koī bhī apne husūl kī
hamdardiyoñ ke tiir se zaḳhmī na kar mazīd
ham ne to ḳhud chunī thiiñ ye rāheñ babūl kī
ḳhushbū kī tarah ham haiñ ḳharābī meñ dahr kī
ye shāḳh-e-gul palī thī fazāoñ meñ dhuul kī
talwar le rahe the himayat mein phul ki
patjhaD ke morchon mein ajab hum ne bhul ki
apne lahu se sham ko sairab kar diya
din bhar ke intizar ki qimat wasul ki
bikhra hai is tarah se har ek zarra-e-wajud
surat nahin hai koi bhi apne husul ki
hamdardiyon ke tir se zaKHmi na kar mazid
hum ne to KHud chuni thin ye rahen babul ki
KHushbu ki tarah hum hain KHarabi mein dahr ki
ye shaKH-e-gul pali thi fazaon mein dhul ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.