tamam aag hai dil rah Khaar-o-KHas ki nahin
tamām aag hai dil raah ḳhār-o-ḳhas kī nahīñ
yahī galī hai jahāñ saltanat havas kī nahīñ
vo sab ke sāmne bāñhoñ meñ aa ke kho jaanā
farishtoñ jaisī ye ma.asūmiyat havas kī nahīñ
bas ek shaam kī lazzat bahut ġhanīmat jaan
aziim paak mohabbat har ik ke bas kī nahīñ
thā ek shaḳhs har ik shaḳhs us pe āshiq thā
ye baat kal kī hai do-chār das baras kī nahīñ
nisāb dil kā kahāñ rakh diyā clāssoñ meñ
ġhazal kī aag hai ye kāġhazoñ ke bas kī nahīñ
tamam aag hai dil rah KHar-o-KHas ki nahin
yahi gali hai jahan saltanat hawas ki nahin
wo sab ke samne banhon mein aa ke kho jaana
farishton jaisi ye masumiyat hawas ki nahin
bas ek sham ki lazzat bahut ghanimat jaan
azim pak mohabbat har ek ke bas ki nahin
tha ek shaKHs har ek shaKHs us pe aashiq tha
ye baat kal ki hai do-chaar das baras ki nahin
nisab dil ka kahan rakh diya classon mein
ghazal ki aag hai ye kaghazon ke bas ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.