tamam dard ho dil aur nazar gila na kare
tamām dard ho dil aur nazar gila na kare
kisī ġharīb pe yuuñ aa bane ḳhudā na kare
hazār dard de aur ek kī davā na kare
jo kuchh kisī kī nigāh-e-karishma-zā na kare
vo dil kī ik na sune dil mirā kahā na kare
paḌe kisī se kisī kī ġharaz ḳhudā na kare
bigaḌ ke baiThe haiñ tyorī chaḌhī hai barham haiñ
ki koī arz-e-tamannā kā hausla na kare
na ban-sañvar ke har ik baar aa.ina dekho
lage tumhīñ ko tumhārī nazar ḳhudā na kare
shab-e-firāq ke taare ye kah ke Duub ga.e
kisī kā koī mohabbat meñ aasrā na kare
junūn-e-ishq kī ma.asūm hasrateñ tauba
vo minnateñ kareñ dil arz-e-mudda.ā na kare
dil aur terī mohabbat ke dukh are tauba
ye ġham nasīb ho dushman ko bhī ḳhudā na kare
nigāh-e-nāz ho jab aap silsila-jumbāñ
to kaun hogā jo tajdīd-e-mudda.ā na kare
tumhīñ kaho ki jo tum aas is tarah toḌo
to kis umiid pe dil tark-e-mudda.ā na kare
kisī ke va.ada-e-fardā kī sharm rah jaa.e
ḳhudā kare ki mirī zindagī vafā na kare
dil aur pahlī mohabbat kī choT are tauba
ġham aur taaza judā.ī kā ġham ḳhudā na kare
'sarosh' kitnā hasīñ hai ye maslak-e-‘hāfiz’
gunāh laakh kare ek dil burā na kare
tamam dard ho dil aur nazar gila na kare
kisi gharib pe yun aa bane KHuda na kare
hazar dard de aur ek ki dawa na kare
jo kuchh kisi ki nigah-e-karishma-za na kare
wo dil ki ek na sune dil mera kaha na kare
paDe kisi se kisi ki gharaz KHuda na kare
bigaD ke baiThe hain tyori chaDhi hai barham hain
ki koi arz-e-tamanna ka hausla na kare
na ban-sanwar ke har ek bar aaina dekho
lage tumhin ko tumhaari nazar KHuda na kare
shab-e-firaq ke tare ye kah ke Dub gae
kisi ka koi mohabbat mein aasra na kare
junun-e-ishq ki masum hasraten tauba
wo minnaten karen dil arz-e-muddaa na kare
dil aur teri mohabbat ke dukh are tauba
ye gham nasib ho dushman ko bhi KHuda na kare
nigah-e-naz ho jab aap silsila-jumban
to kaun hoga jo tajdid-e-muddaa na kare
tumhin kaho ki jo tum aas is tarah toDo
to kis umid pe dil tark-e-muddaa na kare
kisi ke wada-e-farda ki sharm rah jae
KHuda kare ki meri zindagi wafa na kare
dil aur pahli mohabbat ki choT are tauba
gham aur taza judai ka gham KHuda na kare
'sarosh' kitna hasin hai ye maslak-e-‘hafiz’
gunah lakh kare ek dil bura na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.