tamam husn-e-jahan ka jawab ho ke raha
tamām husn-e-jahāñ kā javāb ho ke rahā
jo dard dil se uThā āftāb ho ke rahā
vo bārgāh-e-junūñ hai nasīb-e-ishq-e-vafā
ye dil ye shauq nazar-bāryāb ho ke rahā
vahī safar hai vahī rasm-e-āblā-pā.ī
yaqīn-e-rāh mirā kāmyāb ho ke rahā
bahut aziiz na kyuuñ ho ki dard hai terā
ye dard baḌh ke rahā iztirāb ho ke rahā
ajiib chiiz hai ye shauq-e-ārzū-mandī
hayāt miT ke rahī dil ḳharāb ho ke rahā
tamam husn-e-jahan ka jawab ho ke raha
jo dard dil se uTha aaftab ho ke raha
wo bargah-e-junun hai nasib-e-ishq-e-wafa
ye dil ye shauq nazar-baryab ho ke raha
wahi safar hai wahi rasm-e-abla-pai
yaqin-e-rah mera kaamyab ho ke raha
bahut aziz na kyun ho ki dard hai tera
ye dard baDh ke raha iztirab ho ke raha
ajib chiz hai ye shauq-e-arzu-mandi
hayat miT ke rahi dil KHarab ho ke raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.