tamam jalna jalana fasana hota hua
tamām jalnā jalānā fasāna hotā huā
charāġh lambe safar par ravāna hotā huā
ajab gudāz parinde badan meñ uḌte hue
use gale se lagā.e zamāna hotā huā
harī zamīn sulagne lagī to raaz khulā
ki jal gayā vo shajar shāmiyāna hotā huā
nazar meñ Thahrī huī ek raushnī kī lakīr
ufuq pe sāya-e-shab be-karāna hotā huā
riqābateñ mirā ohda bahāl kartī huī
maiñ jaan dene ke fan meñ yagāna hotā huā
tamam jalna jalana fasana hota hua
charagh lambe safar par rawana hota hua
ajab gudaz parinde badan mein uDte hue
use gale se lagae zamana hota hua
hari zamin sulagne lagi to raaz khula
ki jal gaya wo shajar shamiyana hota hua
nazar mein Thahri hui ek raushni ki lakir
ufuq pe saya-e-shab be-karana hota hua
riqabaten mera ohda bahaal karti hui
main jaan dene ke fan mein yagana hota hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.