Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam KHaliyon mein aksar sunai deta hai

Riyaz Latif

tamam KHaliyon mein aksar sunai deta hai

Riyaz Latif

MORE BYRiyaz Latif

    tamām ḳhaliyoñ meñ aksar sunā.ī detā hai

    har ik jahān meñ mahshar sunā.ī detā hai

    jo chhū ke dekhūñ to gardish tah meñ gardish hai

    dharūñ jo kaan to mahvar sunā.ī detā hai

    hazār mīloñ bichhī irtiqā miTTī par

    badan meñ ab bhī samundar sunā.ī detā hai

    lachaktī raat meñ sayyārgāñ chaap suno

    jo mujh meñ jazb hai bāhar sunā.ī detā hai

    zamīn phail ga.ī hai hamārī ruuh talak

    jahāñ shor ab andar sunā.ī detā hai

    zabāñ ke ġhaar se pahuñche sukūt tak to ab

    ajiib lahjoñ meñ manzar sunā.ī detā hai

    tamaddunoñ ke har āhañg tazād 'riyāz'

    jo duur jā.ūñ to behtar sunā.ī detā hai

    tamam KHaliyon mein aksar sunai deta hai

    har ek jahan mein mahshar sunai deta hai

    jo chhu ke dekhun to gardish ki tah mein gardish hai

    dharun jo kan to mahwar sunai deta hai

    hazar milon bichhi irtiqa ki miTTi par

    badan mein ab bhi samundar sunai deta hai

    lachakti raat mein sayyargan ki chap suno

    jo mujh mein jazb hai bahar sunai deta hai

    zamin phail gai hai hamari ruh talak

    jahan ka shor ab andar sunai deta hai

    zaban ke ghaar se pahunche sukut tak to ab

    ajib lahjon mein manzar sunai deta hai

    tamaddunon ke har aahang ka tazad 'riyaz'

    jo dur jaun to behtar sunai deta hai

    RECITATIONS

    Riyaz Latif

    Riyaz Latif,

    Riyaz Latif

    tamam KHaliyon mein aksar sunai deta hai Riyaz Latif

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now