tamam KHwab adhure uTha ke rakkhe hain
tamām ḳhvāb adhūre uThā ke rakkhe haiñ
kabhī to hoñge ye puure uThā ke rakkhe haiñ
tumhāre naam kā paikar banā ke rakkhā hai
tumhāre naam ke chehre uThā ke rakkhe haiñ
ye kyā ki chāñd to bādal meñ jā ke baiThā hai
so ham ne jugnū sunahre uThā ke rakkhe haiñ
ye terī shoḳh adā.eñ haiñ aur mirī larzish
ki jitne pahre the saare uThā ke rakkhe haiñ
hameñ patā hai safar hai to dhuup bhī hogī
to ham ne peḌ ghanere uThā ke rakkhe haiñ
tumhārī yādeñ tilismāt haiñ nikalnā kyā
tumārī yaad ke pahre uThā ke rakkhe haiñ
kashīdgī kā ye aalam bhī biit jā.egā
hamāre rishte haiñ gahre uThā ke rakkhe haiñ
tamam KHwab adhure uTha ke rakkhe hain
kabhi to honge ye pure uTha ke rakkhe hain
tumhaare nam ka paikar bana ke rakkha hai
tumhaare nam ke chehre uTha ke rakkhe hain
ye kya ki chand to baadal mein ja ke baiTha hai
so hum ne jugnu sunahre uTha ke rakkhe hain
ye teri shoKH adaen hain aur meri larzish
ki jitne pahre the sare uTha ke rakkhe hain
hamein pata hai safar hai to dhup bhi hogi
to hum ne peD ghanere uTha ke rakkhe hain
tumhaari yaaden tilismat hain nikalna kya
tumari yaad ke pahre uTha ke rakkhe hain
kashidgi ka ye aalam bhi bit jaega
hamare rishte hain gahre uTha ke rakkhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.