tamam muddat mera ye shikwa raha kiran se
tamām muddat mirā ye shikva rahā kiran se
ki us ne mujh par nazar na Daalī kabhī gagan se
purānī chāhat ke zaḳhm ab tak bhare nahīñ haiñ
aur ek laḌkī paḌī hai pīchhe baḌe jatan se
maiñ zindagī kā diyā jalā kar ke jiyūñ hī palTā
tabhī achānak havā.eñ chal diiñ qazā ke ban se
vo māh-pāra milan se pahle bahut ḳhafā thī
ab us ke bose chhuTā rahā huuñ maiñ is badan se
mujhe asīrī meñ lutf aane lagā thā yaaro
maiñ dhun banātā thā beḌiyoñ kī khanan khanan se
tamam muddat mera ye shikwa raha kiran se
ki us ne mujh par nazar na Dali kabhi gagan se
purani chahat ke zaKHm ab tak bhare nahin hain
aur ek laDki paDi hai pichhe baDe jatan se
main zindagi ka diya jala kar ke jiyun hi palTa
tabhi achanak hawaen chal din qaza ke ban se
wo mah-para milan se pahle bahut KHafa thi
ab us ke bose chhuTa raha hun main is badan se
mujhe asiri mein lutf aane laga tha yaro
main dhun banata tha beDiyon ki khanan khanan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.