tamam phenke gae pattharon pe bhaari tha
tamām pheñke ga.e pattharoñ pe bhārī thā
vo ek phuul akelā sabhoñ pe bhārī thā
na mujh se dil ne batāyā na maiñ ne hī jaanā
vo kaisā ġham thā jo saare ġhamoñ pe bhārī thā
maiñ un kī rah se guzartā na thā magar phir bhī
mirā vajūd mire dushmanoñ pe bhārī thā
agarche baiThā thā maiñ un ke darmiyāñ ḳhāmosh
mirā sukūt magar shā.iroñ pe bhārī thā
vo jis kā koī na thā duur ik ḳhudā ke sivā
zamīñ kā bojh na 'farruḳh' diloñ pe bhārī thā
tamam phenke gae pattharon pe bhaari tha
wo ek phul akela sabhon pe bhaari tha
na mujh se dil ne bataya na main ne hi jaana
wo kaisa gham tha jo sare ghamon pe bhaari tha
main un ki rah se guzarta na tha magar phir bhi
mera wajud mere dushmanon pe bhaari tha
agarche baiTha tha main un ke darmiyan KHamosh
mera sukut magar shairon pe bhaari tha
wo jis ka koi na tha dur ek KHuda ke siwa
zamin ka bojh na 'farruKH' dilon pe bhaari tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.