tamam raat mere sath phirta rahta hai
tamām raat mire saath phirtā rahtā hai
maiñ so bhī jā.ūñ to āñkhoñ meñ chaltā rahtā hai
badan hai us kā ki jaise chinār kā mausam
vo apnī aag meñ har raat jaltā rahtā hai
mujhe kabhī jo rahe dhuup kā safar dar-pesh
vo chhāñv ban ke mire saath chaltā rahtā hai
vo peḌ sar ko jhukā.e khaḌā jo rahtā hai
vo mausamoñ kī bahut maar sahtā rahtā hai
phir is ke baa'd kahāñ jism-o-jāñ sambhalte haiñ
vo mere haath meñ shab bhar pighaltā rahtā hai
ġhamoñ kī rut ho yā koī ḳhushī kā mausam ho
badalte rahte haiñ mausam badaltā rahtā hai
'nadīm' us se ta'alluq to ham ne toḌ liyā
magar ye dil hai ki ab bhī machaltā rahtā hai
tamam raat mere sath phirta rahta hai
main so bhi jaun to aankhon mein chalta rahta hai
badan hai us ka ki jaise chinar ka mausam
wo apni aag mein har raat jalta rahta hai
mujhe kabhi jo rahe dhup ka safar dar-pesh
wo chhanw ban ke mere sath chalta rahta hai
wo peD sar ko jhukae khaDa jo rahta hai
wo mausamon ki bahut mar sahta rahta hai
phir is ke ba'd kahan jism-o-jaan sambhalte hain
wo mere hath mein shab bhar pighalta rahta hai
ghamon ki rut ho ya koi KHushi ka mausam ho
badalte rahte hain mausam badalta rahta hai
'nadim' us se ta'alluq to hum ne toD liya
magar ye dil hai ki ab bhi machalta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.