tamam raat musalsal ayagh chalta raha
tamām raat musalsal ayāġh chaltā rahā
darūn-e-qalb musalsal charāġh jaltā rahā
ajab kahāniyāñ bantī haiñ nisf rātoñ meñ
shabāb-e-nau se musalsal sharār ubaltā rahā
miTātī tīrgī-e-shab kyā chāñdnī āḳhir
ġham-e-daġhā meñ musalsal jo chāñd Dhaltā rahā
ye un kā da.avā masīhā.ī kā hai makr-o-fareb
lipaT ke un se musalsal koī machaltā rahā
hamesha ashkoñ kī zad meñ hī raat Dhaltī rahī
umīd-e-jāñ meñ musalsal jigar pighaltā rahā
ye ham se pūchho to kyā hai ye shai bhī lutf 'shaġhaf'
ki dard-e-ashk musalsal qabā badaltā rahā
tamam raat musalsal ayagh chalta raha
darun-e-qalb musalsal charagh jalta raha
ajab kahaniyan banti hain nisf raaton mein
shabab-e-nau se musalsal sharar ubalta raha
miTati tirgi-e-shab kya chandni aaKHir
gham-e-dagha mein musalsal jo chand Dhalta raha
ye un ka dawa masihai ka hai makr-o-fareb
lipaT ke un se musalsal koi machalta raha
hamesha ashkon ki zad mein hi raat Dhalti rahi
umid-e-jaan mein musalsal jigar pighalta raha
ye hum se puchho to kya hai ye shai bhi lutf 'shaghaf'
ki dard-e-ashk musalsal qaba badalta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.