tamam raat wo jaga kisi ke wade par
tamām raat vo jaagā kisī ke va.ade par
'vafā' ko aa hī ga.ī niiñd raat Dhalne par
jo sab kā dost thā har anjuman key raunaq thā
kal us key laash milī us ke ghar ke malbe par
har ek dost ke chehre ko ġhaur se dekhā
faqat ḳhulūs kā ġhāza thā sab ke chehre par
vo zauq-e-fan ho ki shāḳh-e-chaman ki ḳhāk-e-vatan
har ik kā haq hai mire ḳhuuñ ke qatre qatre par
chaman meñ yuuñ to the kuchh aur āshiyāñ lekin
girī jo barq to mere hī āshiyāne par
haqīqateñ nazar aa.iiñ to kis tarah un ko
ta.assubāt key ainak hai jin ke chehre par
karam mujhī pe thā sab bāġhbān-o-gulchīñ kā
kisī ne qaid kiyā aur kisī ne noche par
ye dasht-e-huzn hai karb-o-balā kā sahrā hai
chalegā kaun yahāñ ab 'vafā' ke raste par
tamam raat wo jaga kisi ke wade par
'wafa' ko aa hi gai nind raat Dhalne par
jo sab ka dost tha har anjuman key raunaq tha
kal us key lash mili us ke ghar ke malbe par
har ek dost ke chehre ko ghaur se dekha
faqat KHulus ka ghaza tha sab ke chehre par
wo zauq-e-fan ho ki shaKH-e-chaman ki KHak-e-watan
har ek ka haq hai mere KHun ke qatre qatre par
chaman mein yun to the kuchh aur aashiyan lekin
giri jo barq to mere hi aashiyane par
haqiqaten nazar aain to kis tarah un ko
tassubaat key ainak hai jin ke chehre par
karam mujhi pe tha sab baghban-o-gulchin ka
kisi ne qaid kiya aur kisi ne noche par
ye dasht-e-huzn hai karb-o-bala ka sahra hai
chalega kaun yahan ab 'wafa' ke raste par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.