tamam shahr hi dushman hai kya kiya jae
tamām shahr hī dushman hai kyā kiyā jaa.e
vafā ke naam se bad-zan hai kyā kiyā jaa.e
mujhī se pūchh rahā hai ye merā ham-sāya
tumhārā ghar mirā āñgan hai kyā kiyā jaa.e
girā diyā thā mire ghar ko pichhlī bārish ne
ki phir se ghaat meñ sāvan hai kyā kiyā jaa.e
paḌhā.ī jaatī hai maktab meñ ab ġhalat tārīḳh
fasādī haath meñ bachpan hai kyā kiyā jaa.e
jo bachche ho ga.e qābil uḌe vo panchhī se
ki suunā suunā sā āñgan hai kyā kiyā jaa.e
ki sach kuchal diyā beva kī hasratoñ kī tarah
ki jhuuT haath meñ kañgan hai kyā kiyā jaa.e
havelī dil kī hai 'armān' suunī suunī sī
udaas ruuh kā āñgan hai kyā kiyā jaa.e
tamam shahr hi dushman hai kya kiya jae
wafa ke nam se bad-zan hai kya kiya jae
mujhi se puchh raha hai ye mera ham-saya
tumhaara ghar mera aangan hai kya kiya jae
gira diya tha mere ghar ko pichhli barish ne
ki phir se ghat mein sawan hai kya kiya jae
paDhai jati hai maktab mein ab ghalat tariKH
fasadi hath mein bachpan hai kya kiya jae
jo bachche ho gae qabil uDe wo panchhi se
ki suna suna sa aangan hai kya kiya jae
ki sach kuchal diya bewa ki hasraton ki tarah
ki jhuT hath mein kangan hai kya kiya jae
haweli dil ki hai 'arman' suni suni si
udas ruh ka aangan hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.