tamam shahr mein hai aam karobar-e-hawas
tamām shahr meñ hai aam kārobār-e-havas
ki chehre chehre pe chaspāñ hai ishtihār-e-havas
abhī ragoñ meñ hai talḳhī-e-e'tibār-e-havas
badan meñ TuuT rahā hai abhī ḳhumār-e-havas
jo chal paḌe ho to anjām-e-gumrahī se Daro
supurd-e-ḳhāk na kar de ye rahguzār-e-havas
havā hai garm na kamre kī khiḌkiyāñ kholo
na jaane shahr meñ Thahre kahāñ ġhubār-e-havas
farār ḳhvāhish-e-hastī se jab nahīñ mumkin
nafas kī qaid kaheñ yā ise hisār-e-havas
tamam shahr mein hai aam karobar-e-hawas
ki chehre chehre pe chaspan hai ishtihaar-e-hawas
abhi ragon mein hai talKHi-e-e'tibar-e-hawas
badan mein TuT raha hai abhi KHumar-e-hawas
jo chal paDe ho to anjam-e-gumrahi se Daro
supurd-e-KHak na kar de ye rahguzar-e-hawas
hawa hai garm na kamre ki khiDkiyan kholo
na jaane shahr mein Thahre kahan ghubar-e-hawas
farar KHwahish-e-hasti se jab nahin mumkin
nafas ki qaid kahen ya ise hisar-e-hawas
- Book : Aiwan (Pg. 44)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.