Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam shai mein wo aksar dikhai deta hai

Sameer Parimal

tamam shai mein wo aksar dikhai deta hai

Sameer Parimal

tamām shai meñ vo aksar dikhā.ī detā hai

baḌā hasīn ye manzar dikhā.ī detā hai

ġhamoñ dhuup meñ jaltī huī nigāhoñ ko

sanam vafā samundar dikhā.ī detā hai

tumhāre haath in be-zabāñ lakīroñ meñ

hameñ hamārā muqaddar dikhā.ī detā hai

banā liyā hai jo shīshe ghar yahāñ maiñ ne

har ik nigāh meñ patthar dikhā.ī detā hai

sabhī ke haath sane haiñ lahū se rishtoñ ke

sabhī piiTh meñ ḳhanjar dikhā.ī detā hai

ugeñgī amn fasleñ kaho bhalā kaise

yahāñ to khet banjar dikhā.ī detā hai

tamam shai mein wo aksar dikhai deta hai

baDa hasin ye manzar dikhai deta hai

ghamon ki dhup mein jalti hui nigahon ko

sanam wafa ka samundar dikhai deta hai

tumhaare hath ki in be-zaban lakiron mein

hamein hamara muqaddar dikhai deta hai

bana liya hai jo shishe ka ghar yahan main ne

har ek nigah mein patthar dikhai deta hai

sabhi ke hath sane hain lahu se rishton ke

sabhi ki piTh mein KHanjar dikhai deta hai

ugengi amn ki faslen kaho bhala kaise

yahan to khet hi banjar dikhai deta hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now