tamam umr azabon ka silsila to raha
tamām umr azāboñ kā silsila to rahā
ye kam nahīñ hameñ jiine kā hausla to rahā
guzar hī aa.e kisī tarah tere dīvāne
qadam qadam pe koī saḳht marhala to rahā
chalo na ishq hī jiitā na aql haar sakī
tamām vaqt maze kā muqābla to rahā
maiñ terī zaat meñ gum ho sakā na tū mujh meñ
bahut qarīb the ham phir bhī fāsla to rahā
ye aur baat ki har chheḌ lā-ubālī thī
tirī nazar kā diloñ se mo.āmla to rahā
tamam umr azabon ka silsila to raha
ye kam nahin hamein jine ka hausla to raha
guzar hi aae kisi tarah tere diwane
qadam qadam pe koi saKHt marhala to raha
chalo na ishq hi jita na aql haar saki
tamam waqt maze ka muqabla to raha
main teri zat mein gum ho saka na tu mujh mein
bahut qarib the hum phir bhi fasla to raha
ye aur baat ki har chheD la-ubaali thi
teri nazar ka dilon se moamla to raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.