tamam umr bachata raha KHuda usko
tamām umr bachātā rahā ḳhudā us ko
kisī kī lag hī ga.ī phir bhī badduā us ko
vo apnī zindagī aur dostoñ meñ hai masrūf
merī tamām pareshāniyoñ se kyā us ko
tum us se kahnā kisī din tabāh kar degā
kam umr laḌkiyoñ ke dil se khelnā us ko
bichhaḌte vaqt use dekh kar lagā jaise
har ek chiiz kā pahle se ilm thā us ko
hunar-shanās kisī din qarār kar deñge
banāne vaale tire fan kī intihā us ko
na jaane kaun sā pesha hai jis meñ lagtā hai
har ek shaam koī aadmī nayā us ko
use satā.eñ mohabbat ke lauTte mausam
kabhī bhī raas na aa.e america us ko
ḳhudā maiñ bhī tirī is duniyā ko miTā dūñgā
hamāre jhagḌe meñ kuchh bhī agar huā us ko
tamam umr bachata raha KHuda us ko
kisi ki lag hi gai phir bhi baddua us ko
wo apni zindagi aur doston mein hai masruf
meri tamam pareshaniyon se kya us ko
tum us se kahna kisi din tabah kar dega
kam umr laDkiyon ke dil se khelna us ko
bichhaDte waqt use dekh kar laga jaise
har ek chiz ka pahle se ilm tha us ko
hunar-shanas kisi din qarar kar denge
banane wale tere fan ki intiha us ko
na jaane kaun sa pesha hai jis mein lagta hai
har ek sham koi aadmi naya us ko
use sataen mohabbat ke lauTte mausam
kabhi bhi ras na aae america us ko
KHuda main bhi teri is duniya ko miTa dunga
hamare jhagDe mein kuchh bhi agar hua us ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.