tamam umr baDe saKHt imtihan mein tha
tamām umr baḌe saḳht imtihān meñ thā
vo fāsla jo tire mere darmiyān meñ thā
paroñ meñ simTā to Thokar meñ thā zamāne kī
uḌā to ek zamāna mirī uḌaan meñ thā
usī pe ho gayā qurbān do diloñ kā milāp
vo jā.edād kā jhagḌā jo ḳhāndān meñ thā
tujhe gañvā ke ka.ī baar ye ḳhayāl aayā
tirī anā hī meñ kuchh thā na merī aan meñ thā
tamam umr baDe saKHt imtihan mein tha
wo fasla jo tere mere darmiyan mein tha
paron mein simTa to Thokar mein tha zamane ki
uDa to ek zamana meri uDan mein tha
usi pe ho gaya qurban do dilon ka milap
wo jaedad ka jhagDa jo KHandan mein tha
tujhe ganwa ke kai bar ye KHayal aaya
teri ana hi mein kuchh tha na meri aan mein tha
- Book : Mera Kiya (Pg. 142)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.