tamam umr faqat uski justuju karna
tamām umr faqat us kī justujū karnā
tum us ko yaad bhī karnā to bā-vazū karnā
zamāna aap ko e.azāz se navāzegā
shafīq lahje meñ chhoToñ se guftugū karnā
vo apne aap ko ahl-e-zabāñ samajhte haiñ
zarā sikhā de koī un ko guftugū karnā
tum intizār ke va.adoñ ke tiir barsāo
hamārā kaam hai dil ko lahū lahū karnā
hijāb ha.Tne de 'kashfī' tū ajnabiyyat kā
phir is ke baad bilā-ḳhauf tum se tū karnā
tamam umr faqat us ki justuju karna
tum us ko yaad bhi karna to ba-wazu karna
zamana aap ko eazaz se nawazega
shafiq lahje mein chhoTon se guftugu karna
wo apne aap ko ahl-e-zaban samajhte hain
zara sikha de koi un ko guftugu karna
tum intizar ke wadon ke tir barsao
hamara kaam hai dil ko lahu lahu karna
hijab haTne de 'kashfi' tu ajnabiyyat ka
phir is ke baad bila-KHauf tum se tu karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.