Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam umr jale aur raushni nahin ki

Nadeem Bhabha

tamam umr jale aur raushni nahin ki

Nadeem Bhabha

MORE BYNadeem Bhabha

    tamām umr jale aur raushnī nahīñ

    ye zindagī hai to phir ham ne zindagī nahīñ

    sitam to ye hai ki mere ḳhilāf bolte haiñ

    vo log jin se kabhī maiñ ne baat bhī nahīñ

    jo dil meñ aatā gayā sidq-e-dil se likhtā gayā

    duā.eñ māñgī haiñ maiñ ne to shā.erī nahīñ

    bas itnā hai ki mirā baḳht Dhal gayā aur phir

    mire charāġh ne bhī mujh pe raushnī nahīñ

    mirī sipāh se duniyā larazne lagtī hai

    magar tumhārī to maiñ ne barābarī nahīñ

    kuchh is liye bhī akelā ho gayā huuñ 'nadīm'

    sabhī ko dost banāyā hai dushmanī nahīñ

    tamam umr jale aur raushni nahin ki

    ye zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki

    sitam to ye hai ki mere KHilaf bolte hain

    wo log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki

    jo dil mein aata gaya sidq-e-dil se likhta gaya

    duaen mangi hain main ne to shaeri nahin ki

    bas itna hai ki mera baKHt Dhal gaya aur phir

    mere charagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki

    meri sipah se duniya larazne lagti hai

    magar tumhaari to main ne barabari nahin ki

    kuchh is liye bhi akela sa ho gaya hun 'nadim'

    sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now