tamam umr kaTi dil ka chaak sine mein
tamām 'umr kaTī dil kā chaak siine meñ
hazār baar mare ik hayāt jiine meñ
tirā ḳhayāl kuchh aise nihāñ hai dil meñ mire
ki jaise rang samā.e kisī nagīne meñ
qadam qadam pe bahāreñ pukārtī haiñ mujhe
maiñ shaad rahtī huuñ zahrāb ġham kā piine meñ
ye kis fazā kā ta'āruf havā.eñ detī haiñ
ki saarā baaġh sharābor hai pasīne meñ
tamam 'umr kaTi dil ka chaak sine mein
hazar bar mare ek hayat jine mein
tera KHayal kuchh aise nihan hai dil mein mere
ki jaise rang samae kisi nagine mein
qadam qadam pe bahaaren pukarti hain mujhe
main shad rahti hun zahrab gham ka pine mein
ye kis faza ka ta'aruf hawaen deti hain
ki sara bagh sharabor hai pasine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.