tamasha rahguzar-dar-rahguzar afsos ka hai
tamāsha rahguzar-dar-rahguzar afsos kā hai
bhale hī ḳhush haiñ sab lekin safar afsos kā hai
bahishtī baaġh kī sab titliyāñ haiñ par-burīda
shikasta rañg tā-hadd-e-nazar afsos kā hai
abhī itrā rahe haiñ sākinān-e-qasr-shāhī
abhī āñkhoñ se un ke mahv ghar afsos kā hai
havelī ab kahāñ jo qahqahoñ se gūñjtī thī
jahāñ tak dekhtā huuñ maiñ khañDar afsos kā hai
kahāñ mumkin tire ishrat-kade meñ shaam kāTeñ
abhī to sāmnā har gaam par afsos kā hai
azīzo aao ab ik alvidā'ī jashn kar leñ
ki is ke baa'd ik lambā safar afsos kā hai
tamasha rahguzar-dar-rahguzar afsos ka hai
bhale hi KHush hain sab lekin safar afsos ka hai
bahishti bagh ki sab titliyan hain par-burida
shikasta rang ta-hadd-e-nazar afsos ka hai
abhi itra rahe hain sakinan-e-qasr-shahi
abhi aankhon se un ke mahw ghar afsos ka hai
haweli ab kahan jo qahqahon se gunjti thi
jahan tak dekhta hun main khanDar afsos ka hai
kahan mumkin tere ishrat-kade mein sham kaTen
abhi to samna har gam par afsos ka hai
azizo aao ab ek alwida'i jashn kar len
ki is ke ba'd ek lamba safar afsos ka hai
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 139)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.