tamasha-e-alam hai aur main hun
tamāshā-e-alam hai aur maiñ huuñ
ḳhushī ke saath ġham hai aur maiñ huuñ
zamāne kā sitam hai aur maiñ huuñ
ye sab un kā karam hai aur maiñ huuñ
rah-e-haq par qadam hai aur maiñ huuñ
sar-e-aflāk ḳham hai aur maiñ huuñ
tamavvuj par abhī hai bahr-e-hastī
safīna zer-o-bam hai aur maiñ huuñ
abhī kaise kahūñ sub.h-e-bahārāñ
abhī to shām-e-ġham hai aur maiñ huuñ
kahīñ bazm-e-nashāt-e-aish-o-ishrat
kahīñ par chashm-e-nam hai aur maiñ huuñ
badal Dālūñ nizām-e-zindagī ye
baḌī mushkil meñ dam hai aur maiñ huuñ
kisī lamha bhaḌak kar bujh na jaa.e
charāġh-e-sub.h-dam hai aur maiñ huuñ
mujhe tanhā na samjho mere 'hamdam'
hujūm-e-ranj-o-ġham hai aur maiñ huuñ
tamasha-e-alam hai aur main hun
KHushi ke sath gham hai aur main hun
zamane ka sitam hai aur main hun
ye sab un ka karam hai aur main hun
rah-e-haq par qadam hai aur main hun
sar-e-aflak KHam hai aur main hun
tamawwuj par abhi hai bahr-e-hasti
safina zer-o-bam hai aur main hun
abhi kaise kahun subh-e-bahaaran
abhi to sham-e-gham hai aur main hun
kahin bazm-e-nashat-e-aish-o-ishrat
kahin par chashm-e-nam hai aur main hun
badal Dalun nizam-e-zindagi ye
baDi mushkil mein dam hai aur main hun
kisi lamha bhaDak kar bujh na jae
charagh-e-subh-dam hai aur main hun
mujhe tanha na samjho mere 'hamdam'
hujum-e-ranj-o-gham hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.