tamanna jo itni machalne lagi hai
tamanna jo itnī machalne lagī hai
mire rang meñ kyā vo Dhalne lagī hai
mirī ruḳhsatī aur añgḌā.ī us kī
irāda mirā vo badalne lagī hai
hamārī ibādat ko aanā tirā kyā
tabī.at achānak sañbhalne lagī hai
tire lab pe ruḳhsār pe likh rahā huuñ
qalam ḳhud-baḳhud surḳh chalne lagī hai
lipaT kar tire chhoḌte hī badan se
mirī ruuh 'tāhir' nikalne lagī hai
tamanna jo itni machalne lagi hai
mere rang mein kya wo Dhalne lagi hai
meri ruKHsati aur angDai us ki
irada mera wo badalne lagi hai
hamari ibaadat ko aana tera kya
tabiat achanak sanbhalne lagi hai
tere lab pe ruKHsar pe likh raha hun
qalam KHud-baKHud surKH chalne lagi hai
lipaT kar tere chhoDte hi badan se
meri ruh 'tahir' nikalne lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.