mere KHwabon mein KHayalon mein mere pas raho
mere KHwabon mein KHayalon mein mere pas raho
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
MORE BYAkbar Ali Khan Arshi Zadah
mire ḳhvāboñ meñ ḳhayāloñ meñ mire paas raho
tum mire saare savāloñ meñ mire paas raho
mere qātil mire dildār masīhā mere
zaḳhm-o-marham ke havāloñ meñ mire paas raho
sham-e-ruḳhsār liye gesū-e-ḳhamdār liye
sab añdheroñ meñ ujāloñ meñ mire paas raho
kabhī ḳhushbū kabhī saaya kabhī paikar ban kar
sabhī hijroñ meñ visāloñ meñ mire paas raho
ho tumhīñ juuhī tumhīñ rolī tumheñ pārvatī
husn-e-ḳhūbāñ kī misāloñ meñ mire paas raho
apnī palkoñ pe sajā.e hue namnāk charāġh
dam-e-āḳhir ke sambhāloñ meñ mire paas raho
mere KHwabon mein KHayalon mein mere pas raho
tum mere sare sawalon mein mere pas raho
mere qatil mere dildar masiha mere
zaKHm-o-marham ke hawalon mein mere pas raho
sham-e-ruKHsar liye gesu-e-KHamdar liye
sab andheron mein ujalon mein mere pas raho
kabhi KHushbu kabhi saya kabhi paikar ban kar
sabhi hijron mein visalon mein mere pas raho
ho tumhin juhi tumhin roli tumhein parwati
husn-e-KHuban ki misalon mein mere pas raho
apni palkon pe sajae hue namnak charagh
dam-e-aKHir ke sambhaalon mein mere pas raho
- Sukhan Mere Tumhare Darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.