ye KHayal tha kabhi KHwab mein tujhe dekhte
ye ḳhayāl thā kabhī ḳhvāb meñ tujhe dekhte
kabhī zindagī kī kitāb meñ tujhe dekhte
mire maah tum to hijāb hī meñ rahe magar
hameñ taab thī tab-o-tāb meñ tujhe dekhte
kabhī koī bābat-e-husn ham se jo pūchhtā
to ham ahl-e-ishq javāb meñ tujhe dekhte
kisī aur dhaj se banāte terā mujassama
kabhī ham jo ain-shabāb meñ tujhe dekhte
kabhī dekhte tujhe tīrgī ke jamāl meñ
kabhī raushnī ke sarāb meñ tujhe dekhte
ye KHayal tha kabhi KHwab mein tujhe dekhte
kabhi zindagi ki kitab mein tujhe dekhte
mere mah tum to hijab hi mein rahe magar
hamein tab thi tab-o-tab mein tujhe dekhte
kabhi koi babat-e-husn hum se jo puchhta
to hum ahl-e-ishq jawab mein tujhe dekhte
kisi aur dhaj se banate tera mujassama
kabhi hum jo ain-shabab mein tujhe dekhte
kabhi dekhte tujhe tirgi ke jamal mein
kabhi raushni ke sarab mein tujhe dekhte
- Book : ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 145)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.