tamanna hai sanwar jaane se pahle
tamannā hai sañvar jaane se pahle
tujhe dekhūñ nikhar jaane se pahle
kabhī mujh par bhī ho nazar-e-ināyat
merī hastī bikhar jaane se pahle
tere pahlū meñ hī nikle mirā dam
yahī ḳhvāhish hai mar jaane se pahle
chalo ek pyaar kā paudhā lagā.eñ
bahāroñ ke guzar jaane se pahle
guzarnā hai mujhe un kī galī se
vuzū kar luuñ udhar jaane se pahle
chalo ik dūsre meñ Duub jaa.eñ
ujāloñ ke ubhar jaane se pahle
tamanna hai sanwar jaane se pahle
tujhe dekhun nikhar jaane se pahle
kabhi mujh par bhi ho nazar-e-inayat
meri hasti bikhar jaane se pahle
tere pahlu mein hi nikle mera dam
yahi KHwahish hai mar jaane se pahle
chalo ek pyar ka paudha lagaen
bahaaron ke guzar jaane se pahle
guzarna hai mujhe un ki gali se
wuzu kar lun udhar jaane se pahle
chalo ek dusre mein Dub jaen
ujalon ke ubhar jaane se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.