tamanna thi jo aankhon mein wahi lahje mein rakh dena
tamannā thī jo āñkhoñ meñ vahī lahje meñ rakh denā
maiñ aa.uuñ to ummīdoñ kā diyā raste meñ rakh denā
sameToge kabhī chādar jo tum umr-e-gurezāñ kī
bas ik ḳhushbū bharā lahja mire hisse meñ rakh denā
sambhālā hai jise dil ke nihāñ-ḳhānoñ meñ barsoñ se
mohabbat kā vahī sikka mire kaase meñ rakh denā
chalo milte haiñ janmoñ ke kahīñ us paar tāroñ meñ
vahāñ ik dā.imī lamha mire māthe pe rakh denā
mohabbat kī hasīñ vaadī meñ tum Thahre na ham Thahre
ab in nargis ke phūloñ ko kahīñ raste meñ rakh denā
nahīñ likhnā koī qissa mirī nākām hasrat kā
bas ik TuuTā huā taara mire katbe meñ rakh denā
bahā denā sabhī yādeñ kahīñ jā kar samundar meñ
nadāmat kā bas ik motī kisī sajde meñ rakh denā
tamanna thi jo aankhon mein wahi lahje mein rakh dena
main aaun to ummidon ka diya raste mein rakh dena
sameToge kabhi chadar jo tum umr-e-gurezan ki
bas ek KHushbu bhara lahja mere hisse mein rakh dena
sambhaala hai jise dil ke nihan-KHanon mein barson se
mohabbat ka wahi sikka mere kase mein rakh dena
chalo milte hain janmon ke kahin us par taron mein
wahan ek daimi lamha mere mathe pe rakh dena
mohabbat ki hasin wadi mein tum Thahre na hum Thahre
ab in nargis ke phulon ko kahin raste mein rakh dena
nahin likhna koi qissa meri nakaam hasrat ka
bas ek TuTa hua tara mere katbe mein rakh dena
baha dena sabhi yaaden kahin ja kar samundar mein
nadamat ka bas ek moti kisi sajde mein rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.