tan-e-tanha muqabil ho raha hun main hazaron se
tan-e-tanhā muqābil ho rahā huuñ maiñ hazāroñ se
hasīnoñ se raqīboñ se ġhamoñ se ġham-gusāroñ se
unheñ maiñ chhīn kar laayā huuñ kitne dāvedāroñ se
shafaq se chāñdnī rātoñ se phūloñ se sitāroñ se
sune koī to ab bhī raushnī āvāz detī hai
pahāḌoñ se guphāoñ se bayābānoñ se ġhāroñ se
hamāre dāġh-e-dil zaḳhm-e-jigar kuchh milte-julte haiñ
guloñ se gul-ruḳhoñ se mah-vashoñ se māh-pāroñ se
kabhī hotā nahīñ mahsūs vo yuuñ qatl karte haiñ
nigāhoñ se kanakhiyoñ se adāoñ se ishāroñ se
hamesha ek pyāsī ruuh kī āvāz aatī hai
kuoñ se panghaToñ se naddiyoñ se ābshāroñ se
na aa.e par na aa.e vo unheñ kyā kyā ḳhabar bhejī
lifāfoñ se ḳhatoñ se dukh bhare parchoñ se tāroñ se
zamāne meñ kabhī bhī qismateñ badlā nahīñ kartīñ
umīdoñ se bharosoñ se dilāsoñ se sahāroñ se
vo din bhī haa.e kyā din the jab apnā bhī ta.alluq thā
dashahre se divālī se basantoñ se bahāroñ se
kabhī patthar ke dil ai 'kaif' pighle haiñ na pighleñge
munājātoñ se fariyādoñ se chīḳhoñ se pukāroñ se
tan-e-tanha muqabil ho raha hun main hazaron se
hasinon se raqibon se ghamon se gham-gusaron se
unhen main chhin kar laya hun kitne dawedaron se
shafaq se chandni raaton se phulon se sitaron se
sune koi to ab bhi raushni aawaz deti hai
pahaDon se guphaon se bayabanon se ghaaron se
hamare dagh-e-dil zaKHm-e-jigar kuchh milte-julte hain
gulon se gul-ruKHon se mah-washon se mah-paron se
kabhi hota nahin mahsus wo yun qatl karte hain
nigahon se kanakhiyon se adaon se ishaaron se
hamesha ek pyasi ruh ki aawaz aati hai
kuon se panghaTon se naddiyon se aabshaaron se
na aae par na aae wo unhen kya kya KHabar bheji
lifafon se KHaton se dukh bhare parchon se taron se
zamane mein kabhi bhi qismaten badla nahin kartin
umidon se bharoson se dilason se sahaaron se
wo din bhi hae kya din the jab apna bhi talluq tha
dashahre se diwali se basanton se bahaaron se
kabhi patthar ke dil ai 'kaif' pighle hain na pighlenge
munajaton se fariyaadon se chiKHon se pukaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.