tan ka dhyan na man ka gyan
tan kā dhyān na man kā gyaan
tū kaahe kā vidyā-vān
insānoñ se pyaar nahīñ
phir bhī kahlā.e insān
man mandir meñ jhāñk ke dekh
duur nahīñ tujh se bhagvān
duniyā ek sarā.e hai
tū hai do din kā mehmān
ye bhī koī jīvan hai
lākhoñ dukh haiñ aur ik jaan
terī jaan ke dushman haiñ
lobh krodh maayā abhīmān
man kī daulat paas nahīñ
aur kahlā.e tū dhanvān
āshāoñ ko taj kar dekh
ye duniyā hai svarg samān
dhyān mahal meñ baiTh 'tufail'
priit ko hī parmeshvar jaan
tan ka dhyan na man ka gyan
tu kahe ka widya-wan
insanon se pyar nahin
phir bhi kahlae insan
man mandir mein jhank ke dekh
dur nahin tujh se bhagwan
duniya ek sarae hai
tu hai do din ka mehman
ye bhi koi jiwan hai
lakhon dukh hain aur ek jaan
teri jaan ke dushman hain
lobh krodh maya abhiman
man ki daulat pas nahin
aur kahlae tu dhanwan
aashaon ko taj kar dekh
ye duniya hai swarg saman
dhyan mahal mein baiTh 'tufail'
prit ko hi parmeshwar jaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.