tang hun ghar ki sansnahaT se
tañg huuñ ghar kī sansnāhaT se
haul uThte haiñ ek aahaT se
kitne hī dil ḳharīdtā hai vo
ek halkī sī muskurāhaT se
sar havāoñ meñ raqs karte haiñ
tere lahje kī gungunāhaT se
niim murda sī ḳhvāhisheñ aur mire
ḳhvāb jaage haiñ terī aahaT se
'fātima' yaad kis kī aa.ī hai
bhar ga.ī aañkh jhilmilāhaT se
tang hun ghar ki sansnahaT se
haul uThte hain ek aahaT se
kitne hi dil KHaridta hai wo
ek halki si muskurahaT se
sar hawaon mein raqs karte hain
tere lahje ki gungunahaT se
nim murda si KHwahishen aur mere
KHwab jage hain teri aahaT se
'fatima' yaad kis ki aai hai
bhar gai aankh jhilmilahaT se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.