tang kamron mein hai mahbus faza ka matlab
tañg kamroñ meñ hai mahbūs fazā kā matlab
kaun samjhegā yahāñ taaza havā kā matlab
phuul se chehre pe bhī lafz-ba-lafz ubhrā hai
zard hotī huī tahrīr-e-hinā kā matlab
āñkheñ ḳhvāboñ ke varaq chehra haqīqat kī kitāb
ham hī ḳhud paḌh na sake us kī vafā kā matlab
reg-e-sāhil pe qalam-band kiyā hai kis ne
shab ke jismoñ kā bayāñ raqs-e-sabā kā matlab
rañg-e-hairat meñ paḌe haiñ nahīñ vāzeh hotā
taaza phūloñ pe kisī ābla-pā kā matlab
tang kamron mein hai mahbus faza ka matlab
kaun samjhega yahan taza hawa ka matlab
phul se chehre pe bhi lafz-ba-lafz ubhra hai
zard hoti hui tahrir-e-hina ka matlab
aankhen KHwabon ke waraq chehra haqiqat ki kitab
hum hi KHud paDh na sake us ki wafa ka matlab
reg-e-sahil pe qalam-band kiya hai kis ne
shab ke jismon ka bayan raqs-e-saba ka matlab
rang-e-hairat mein paDe hain nahin wazeh hota
taza phulon pe kisi aabla-pa ka matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.