tanha chhoD ke jaane wale ek din pachhtaoge
tanha chhoD ke jaane wale ek din pachhtaoge
Farrukh Zohra Gilani
MORE BYFarrukh Zohra Gilani
tanhā chhoḌ ke jaane vaale ik din pachhtāoge
aas kā sūraj Duub rahā hai lauT ke ghar kab aaoge
nafrat ko mahsūr kiyā hai ulfat kī dīvāroñ meñ
jin rāhoñ se guzroge tum pyaar kī ḳhush-bū pāoge
dil kī vīrāñ nagrī pe ab ġham ke bādal chhā.e haiñ
dukh kī kaalī raat meñ bolo kab tak saath nibhāoge
koyal to patthar ke Dar se āḳhir ko uḌ jā.egī
bādal to pāgal hai us ko kaise tum samjhāoge
tum to ḳhud sahrā kī sūrat bikhre bikhre lagte ho
'farruḳh' se 'farruḳh' ko socho kaise tum milvāoge
tanha chhoD ke jaane wale ek din pachhtaoge
aas ka suraj Dub raha hai lauT ke ghar kab aaoge
nafrat ko mahsur kiya hai ulfat ki diwaron mein
jin rahon se guzroge tum pyar ki KHush-bu paoge
dil ki viran nagri pe ab gham ke baadal chhae hain
dukh ki kali raat mein bolo kab tak sath nibhaoge
koyal to patthar ke Dar se aaKHir ko uD jaegi
baadal to pagal hai us ko kaise tum samjhaoge
tum to KHud sahra ki surat bikhre bikhre lagte ho
'farruKH' se 'farruKH' ko socho kaise tum milwaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.