Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanha kar ke mujhko salib-e-sawal pe chhoD diya

Tafzeel Ahmad

tanha kar ke mujhko salib-e-sawal pe chhoD diya

Tafzeel Ahmad

MORE BYTafzeel Ahmad

    tanhā kar ke mujh ko salīb-e-savāl pe chhoḌ diyā

    maiñ ne bhī duniyā ko us ke haal pe chhoḌ diyā

    ik chingārī ik jugnū ik aañsū aur ik phuul

    jaate hue kyā kyā us ne rūmāl pe chhoḌ diyā

    paara paara ḳhushbū chakrātī hai kamre meñ

    aag jalā ke shīra us ne ubaal pe chhoḌ diyā

    pahle us ne barsā.e ākāsh pe saare tiir

    phir dhīre se ghoḌe ko pātāl pe chhoḌ diyā

    uThne vaalā hai bāzār kahūñ kyā yūsuf se

    sikkoñ thailā maiñ ne Taksāl pe chhoḌ diyā

    tāzīrāt pe dil mahshar tan larza chehra faq

    rab ne chashm-e-do-qatra sayyāl pe chhoḌ diyā

    pashmīne maazī thā 'tafzīl' samor haal

    mustaqbil ko uunī havā taal pe chhoḌ diyā

    tanha kar ke mujh ko salib-e-sawal pe chhoD diya

    main ne bhi duniya ko us ke haal pe chhoD diya

    ek chingari ek jugnu ek aansu aur ek phul

    jate hue kya kya us ne rumal pe chhoD diya

    para para KHushbu chakraati hai kamre mein

    aag jala ke shira us ne ubaal pe chhoD diya

    pahle us ne barsae aakash pe sare tir

    phir dhire se ghoDe ko patal pe chhoD diya

    uThne wala hai bazar kahun kya yusuf se

    sikkon ka thaila main ne Taksal pe chhoD diya

    taziraat pe dil mahshar tan larza chehra faq

    rab ne chashm-e-do-qatra sayyal pe chhoD diya

    pashmine sa mazi tha 'tafzil' samor sa haal

    mustaqbil ko uni hawa ki tal pe chhoD diya

    Source :
    • Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 103)
    • Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
    • Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now