tanha se rah gae hain shab-e-intizar mein
tanhā se rah ga.e haiñ shab-e-intizār meñ
armāñ machal rahe haiñ dil-e-be-qarār meñ
va.ade pe aap aa na sake is kā ġham nahīñ
lekin shigāf kyoñ paḌā qaul-o-qarār meñ
maddham huī charāġh-e-tamannā kī raushnī
shāyad vo ab na aa.egā suune dayār meñ
barbādiyoñ kā apnī hameñ koī ġham nahīñ
rusvā.iyāñ to aap ne bhī pā.īñ pyaar meñ
ye ishq-e-ḳhāksār vo husn-e-anā-pasand
bigḌe kahīñ na baat isī ḳhalfishār meñ
kaise sunā.eñ haal kisī dard-mañd ko
lab band ho ga.e haiñ vafā ke hisār meñ
'ayyūb' bevafā se umīd-e-vafā nahīñ
dāman bachā.e kāñToñ se rakkhe bahār meñ
tanha se rah gae hain shab-e-intizar mein
arman machal rahe hain dil-e-be-qarar mein
wade pe aap aa na sake is ka gham nahin
lekin shigaf kyon paDa qaul-o-qarar mein
maddham hui charagh-e-tamanna ki raushni
shayad wo ab na aaega sune dayar mein
barbaadiyon ka apni hamein koi gham nahin
ruswaiyan to aap ne bhi pain pyar mein
ye ishq-e-KHaksar wo husn-e-ana-pasand
bigDe kahin na baat isi KHalfishaar mein
kaise sunaen haal kisi dard-mand ko
lab band ho gae hain wafa ke hisar mein
'ayyub' bewafa se umid-e-wafa nahin
daman bachae kanTon se rakkhe bahaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.