tanha shajar ke dard ka ehsas de gaya
tanhā shajar ke dard kā ehsās de gayā
ik shaḳhs mujh ko jism kā ban-bās de gayā
lab-hā-e-nīlgūñ pe haiñ us kī amānateñ
jaate laboñ kā jauhar-e-almās de gayā
jis meñ kabhī bhī aks kī kircheñ nahīñ rahīñ
TuuTā huā vo shīsha-e-ehsās de gayā
ab tak hai mere hāthoñ meñ ḳhushbū rachī huī
maslūb ho ke phuul bahut baas de gayā
ik rūd-e-bevafā.ī meñ mujh ko bahā ke aaj
sātoñ-samundaroñ kī koī pyaas de gayā
ik nā-murād ufuq pe hai kohre kā chāñd sā
kaisī 'musavvir' aas vo be-ās de gayā
tanha shajar ke dard ka ehsas de gaya
ek shaKHs mujh ko jism ka ban-bas de gaya
lab-ha-e-nilgun pe hain us ki amanaten
jate labon ka jauhar-e-almas de gaya
jis mein kabhi bhi aks ki kirchen nahin rahin
TuTa hua wo shisha-e-ehsas de gaya
ab tak hai mere hathon mein KHushbu rachi hui
maslub ho ke phul bahut bas de gaya
ek rud-e-bewafai mein mujh ko baha ke aaj
saton-samundaron ki koi pyas de gaya
ek na-murad ufuq pe hai kohre ka chand sa
kaisi 'musawwir' aas wo be-as de gaya
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 86)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.