tanha tanha sahmi sahmi KHamoshi
tanhā tanhā sahmī sahmī ḳhāmoshī
jaisī haiñ āvāzeñ vaisī ḳhāmoshī
tanhā.ī meñ chauñkā detī hai aksar
sannāTe se bāteñ kartī ḳhāmoshī
be-maqsad mahfil se behtar tanhā.ī
be-matlab bātoñ se achchhī ḳhāmoshī
do āvāze hamrāhī ik raste kī
aur donoñ ke beach meñ chaltī ḳhāmoshī
chupke chupke ghar ko Dastī rahtī hai
darvāze kī dīvāroñ kī ḳhāmoshī
ḳhāmoshī ke zabt se Dartī āvāze
āvāzoñ ke shor se Dartī ḳhāmoshī
tanha tanha sahmi sahmi KHamoshi
jaisi hain aawazen waisi KHamoshi
tanhai mein chaunka deti hai aksar
sannaTe se baaten karti KHamoshi
be-maqsad mahfil se behtar tanhai
be-matlab baaton se achchhi KHamoshi
do aawaze hamrahi ek raste ki
aur donon ke beach mein chalti KHamoshi
chupke chupke ghar ko Dasti rahti hai
darwaze ki diwaron ki KHamoshi
KHamoshi ke zabt se Darti aawaze
aawazon ke shor se Darti KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.