tanhai ke sab din hain tanhai ki sab raaten
tanhai ke sab din hain tanhai ki sab raaten
Maulana Mohammad Ali Jauhar
MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar
tanhā.ī ke sab din haiñ tanhā.ī kī sab rāteñ
ab hone lagīñ un se ḳhalvat meñ mulāqāteñ
har aan tasallī hai har lahza tashaffī hai
har vaqt hai dil-jūī har dam haiñ mudārāteñ
me.arāj kī sī hāsil sajdoñ meñ hai kaifiyyat
ik fāsiq-o-fājir meñ aur aisī karāmāteñ
baiThā huā tauba kī tū ḳhair manāyā kar
Taltī nahīñ yuuñ 'jauhar' is des kī barsāteñ
tanhai ke sab din hain tanhai ki sab raaten
ab hone lagin un se KHalwat mein mulaqaten
har aan tasalli hai har lahza tashaffi hai
har waqt hai dil-jui har dam hain mudaraaten
mearaj ki si hasil sajdon mein hai kaifiyyat
ek fasiq-o-fajir mein aur aisi karamaten
baiTha hua tauba ki tu KHair manaya kar
Talti nahin yun 'jauhar' is des ki barsaten
- Book : Noquush (Pg. B-232 E-338)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.