tanhai mein aaj un se mulaqat hui hai
tanhā.ī meñ aaj un se mulāqāt huī hai
jis baat kī ḳhvāhish thī vahī baat huī hai
āñkhoñ se gire ashk TapāTap to vo bole
bādal ke baġhair aaj ye barsāt huī hai
samjhā huuñ usī din hī se maiñ ziist kā mafhūm
jis din se mirī tum se mulāqāt huī hai
ḳhvāboñ meñ mulāqāteñ to hotī rahīñ aksar
bā-nafs-e-nafīs aaj mulāqāt huī hai
maqsad thā mile ġham se najāt is liye ai 'charḳh'
ik umr mirī vaqf-e-ḳhirājāt huī hai
tanhai mein aaj un se mulaqat hui hai
jis baat ki KHwahish thi wahi baat hui hai
aankhon se gire ashk TapaTap to wo bole
baadal ke baghair aaj ye barsat hui hai
samjha hun usi din hi se main zist ka mafhum
jis din se meri tum se mulaqat hui hai
KHwabon mein mulaqaten to hoti rahin aksar
ba-nafs-e-nafis aaj mulaqat hui hai
maqsad tha mile gham se najat is liye ai 'charKH'
ek umr meri waqf-e-KHirajat hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.