tanhai tamir karegi ghar se behtar ek zindan
tanhā.ī ta.amīr karegī ghar se behtar ik zindān
bām-o-dar nahīñ hoñge lekin hogā jiine kā sāmān
kisī ḳhayāl kī sarshārī meñ jārī-o-sārī yaarī meñ
apne-āp koī aa.egā aur ban jā.egā mehmān
jīvan paikar dhul jā.eñge jis meñ gunāh o savāb samet
aañsū paidā kar hī deñge aisī bārish kā imkān
ashkoñ kī būñdā-bāndī meñ qaus-e-quzah ke rañgoñ se
ik aisī tasvīr banī hai saarī duniyā hai hairān
hairānī zanjīr karegī har pal na.ī kahānī ko
aur 'zafar' sab kirdāroñ meñ ik din paḌ jā.egī jaan
tanhai tamir karegi ghar se behtar ek zindan
baam-o-dar nahin honge lekin hoga jine ka saman
kisi KHayal ki sarshaari mein jari-o-sari yari mein
apne-ap koi aaega aur ban jaega mehman
jiwan paikar dhul jaenge jis mein gunah o sawab samet
aansu paida kar hi denge aisi barish ka imkan
ashkon ki bunda-bandi mein qaus-e-quzah ke rangon se
ek aisi taswir bani hai sari duniya hai hairan
hairani zanjir karegi har pal nai kahani ko
aur 'zafar' sab kirdaron mein ek din paD jaegi jaan
- Book : Mazhab e Ishq (Pg. 215)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.