tanhai thi hawa thi sakit thi purn-masi
tanhā.ī thī havā thī sākit thī pūrn-māsī
bas dil se aa rahī thī mauhūm ik sadā sī
vasl-o-firāq donoñ ik kaifiyat ke pahlū
ik aarzī ḳhushī sī ik dā.imī udāsī
Tesū ke phuul sā thā chehra savād-e-shab meñ
gul-āftāb niklā to rang thā kapāsī
us ko patā nahīñ hai kyā shai hai sard-mehrī
chhā.ī huī hai dil par ghanghor ik ghaTā sī
ik ham-nashīñ kā chehra badlā huā sā dekhā
chehre pe sharm sī thī āñkhoñ meñ thī daġhā sī
vo jism ke alāva kuchh aur bhī to hotī
bañgla kī prem-dāsī mandir kī dev-dāsī
filmoñ ne chashm-e-dil ko vīrān kar diyā hai
āñkhoñ meñ kaash utartī 'tāriq' zarā hayā sī
tanhai thi hawa thi sakit thi purn-masi
bas dil se aa rahi thi mauhum ek sada si
wasl-o-firaq donon ek kaifiyat ke pahlu
ek aarzi KHushi si ek daimi udasi
Tesu ke phul sa tha chehra sawad-e-shab mein
gul-aftab nikla to rang tha kapasi
us ko pata nahin hai kya shai hai sard-mehri
chhai hui hai dil par ghanghor ek ghaTa si
ek ham-nashin ka chehra badla hua sa dekha
chehre pe sharm si thi aankhon mein thi dagha si
wo jism ke alawa kuchh aur bhi to hoti
bangla ki prem-dasi mandir ki dew-dasi
filmon ne chashm-e-dil ko viran kar diya hai
aankhon mein kash utarti 'tariq' zara haya si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.