tanhaiyon mein jab wo lab-e-baam aae hain
tanhā.iyoñ meñ jab vo lab-e-bām aa.e haiñ
sharmindagī se shams-o-qamar jhilmilā.e haiñ
lākhoñ fareb rāh-e-mohabbat meñ khaa.e haiñ
phir bhī har ek gaam pe ham muskurā.e haiñ
hālāt-e-ġham se kar diyā duniyā ko bā-ḳhabar
nok-e-mizha pe jab bhī mire ashk aa.e haiñ
jin ko ḳhizāñ bhī dekh ke hairān rah ga.ī
fasl-e-bahār tū ne 'ajab gul khilā.e haiñ
āġhosh meñ qazā ne unheñ baḌh ke le liyā
sahn-e-chaman meñ phuul agar muskurā.e haiñ
aksar kaTī haiñ hijr kī rāteñ kuchh is tarah
vo yaad aa.e haiñ to bahut yaad aa.e haiñ
mumkin nahīñ ki aap tasavvur bhī kar sakeñ
rāh-e-vafā meñ ham ne jo sadme uThā.e haiñ
'azm-e-javāñ ne hausla-e-zabt-e-ġham diyā
bādal ġhamoñ ke jab bhī mire dil pe chhā.e haiñ
hairat se mujh ko ahl-e-jahāñ dekhte haiñ aaj
maiñ ne vo naqsh rāh-e-vafā meñ banā.e haiñ
'salmān' intizār kī lazzat na un se pūchh
jo shaam hī se sham'-e-tamannā jalā.e haiñ
tanhaiyon mein jab wo lab-e-baam aae hain
sharmindagi se shams-o-qamar jhilmilae hain
lakhon fareb rah-e-mohabbat mein khae hain
phir bhi har ek gam pe hum muskurae hain
haalat-e-gham se kar diya duniya ko ba-KHabar
nok-e-mizha pe jab bhi mere ashk aae hain
jin ko KHizan bhi dekh ke hairan rah gai
fasl-e-bahaar tu ne 'ajab gul khilae hain
aaghosh mein qaza ne unhen baDh ke le liya
sahn-e-chaman mein phul agar muskurae hain
aksar kaTi hain hijr ki raaten kuchh is tarah
wo yaad aae hain to bahut yaad aae hain
mumkin nahin ki aap tasawwur bhi kar saken
rah-e-wafa mein hum ne jo sadme uThae hain
'azm-e-jawan ne hausla-e-zabt-e-gham diya
baadal ghamon ke jab bhi mere dil pe chhae hain
hairat se mujh ko ahl-e-jahan dekhte hain aaj
main ne wo naqsh rah-e-wafa mein banae hain
'salman' intizar ki lazzat na un se puchh
jo sham hi se sham'-e-tamanna jalae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.