din ko bhi itna andhera hai mere kamre mein
din ko bhī itnā añdherā hai mire kamre meñ
saaya aate hue Dartā hai mire kamre meñ
ġham thakā-hārā musāfir hai chalā jā.egā
kuchh dinoñ ke liye Thahrā hai mire kamre meñ
sub.h tak dekhnā afsāna banā Dālegā
tujh ko ik shaḳhs ne dekhā hai mire kamre meñ
dar-ba-dar din ko bhaTaktā hai tasavvur merā
haañ magar raat ko rahtā hai mire kamre meñ
chor baiThā hai kahāñ soch rahā huuñ maiñ 'zafar'
kyā koī aur bhī kamra hai mire kamre meñ
din ko bhi itna andhera hai mere kamre mein
saya aate hue Darta hai mere kamre mein
gham thaka-haara musafir hai chala jaega
kuchh dinon ke liye Thahra hai mere kamre mein
subh tak dekhna afsana bana Dalega
tujh ko ek shaKHs ne dekha hai mere kamre mein
dar-ba-dar din ko bhaTakta hai tasawwur mera
han magar raat ko rahta hai mere kamre mein
chor baiTha hai kahan soch raha hun main 'zafar'
kya koi aur bhi kamra hai mere kamre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.