Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam shaitan se mashhur hamara hota

Rauf Raheem

nam shaitan se mashhur hamara hota

Rauf Raheem

MORE BYRauf Raheem

    naam shaitān se mash.hūr hamārā hotā

    apne pīchhe bhī agar koī idāra hotā

    auj par apne muqaddar sitārā hotā

    ik minister chamcha jo hamārā hotā

    apne jiine yahī ek sahārā hotā

    kisī tirpaT sahī koī ishārā hotā

    ek shādī ne sab baal jhaḌā Daale haiñ

    ye amal kahiye ki phir kaise dobāra hotā

    be-paḌhe apnī ġhazal bazm se ham lauTe haiñ

    tum ne sahvan sahī naam pukārā hotā

    doctor aaj ke tājir na hone paate

    chārasāzoñ se agar bachne chārā hotā

    koī shā.ir bhī mire aage na Tik paatā 'rahīm'

    merā maidān-e-suḳhan pe jo ijāra hotā

    nam shaitan se mashhur hamara hota

    apne pichhe bhi agar koi idara hota

    auj par apne muqaddar ka sitara hota

    ek minister ka hi chamcha jo hamara hota

    apne jine ka yahi ek sahaara hota

    kisi tirpaT ka sahi koi ishaara hota

    ek shadi ne hi sab baal jhaDa Dale hain

    ye amal kahiye ki phir kaise dobara hota

    be-paDhe apni ghazal bazm se hum lauTe hain

    tum ne sahwan hi sahi nam pukara hota

    doctor aaj ke tajir hi na hone pate

    chaarasazon se agar bachne ka chaara hota

    koi shair bhi mere aage na Tik pata 'rahim'

    mera maidan-e-suKHan pe jo ijara hota

    Source:

    Khuda Khair Kare (Pg. 94)

    • Author: Rauf Raheem
      • Publisher: Zinda Dilan-e-Hyderabad

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now