Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyar ki humne pakai khir aadhi rah gai

Wahid Ansari Burhanpur

pyar ki humne pakai khir aadhi rah gai

Wahid Ansari Burhanpur

MORE BYWahid Ansari Burhanpur

    pyaar ham ne pakā.ī khiir aadhī rah ga.ī

    bante bante dosto taqdīr aadhī rah ga.ī

    anginat kar Daale bakre zab.h ne phāñs kar

    merī baarī aa.ī to shamshīr aadhī rah ga.ī

    lag ga.ī shāyad kisī ganje us ko bhī nazar

    dekh le zulfoñ ye zanjīr aadhī rah ga.ī

    hai laḌā.ī burā anjām begam dekh lo

    merā DanDā aap kaf-gīr aadhī rah ga.ī

    fikr jab se ho ga.ī hai jeb bharne unheñ

    ab duā-e-shaiḳh tāsīr aadhī rah ga.ī

    kyoñ na la.anat bhejūñ 'vāhid' shā.erī par maiñ bhalā

    baap daadā jo thī jāgīr aadhī rah ga.ī

    pyar ki hum ne pakai khir aadhi rah gai

    bante bante dosto taqdir aadhi rah gai

    anginat kar Dale bakre zabh tu ne phans kar

    meri bari aai to shamshir aadhi rah gai

    lag gai shayad kisi ganje ki us ko bhi nazar

    dekh le zulfon ki ye zanjir aadhi rah gai

    hai laDai ka bura anjam begam dekh lo

    mera DanDa aap ki kaf-gir aadhi rah gai

    fikr jab se ho gai hai jeb bharne ki unhen

    ab dua-e-shaiKH ki tasir aadhi rah gai

    kyon na lanat bhejun 'wahid' shaeri par main bhala

    bap dada ki jo thi jagir aadhi rah gai

    Source:

    Zinda Tilismat (Pg. 60)

    • Author: Wahid Ansari Burhanpur
      • Publisher: Tanveer Ahmad Ansari
      • Year of Publication: 2013

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now