tap-e-alam ko jigar mein chhupa ke dekhte hain
tap-e-alam ko jigar meñ chhupā ke dekhte haiñ
ham aag apne hī ghar ko lagā ke dekhte haiñ
ḳhudā ko dekhte haiñ yuuñ ham us kī sūrat meñ
ki goyā sāmne apne biThā ke dekhte haiñ
vo bole dekh ke shīshe meñ apnī sūrat ko
shabīh-e-hazrat-e-yūsuf mañgā ke dekhte haiñ
churā liyā mere pahlū se dil jinhoñ ne mirā
ab un ko dekho vo āñkheñ churā ke dekhte haiñ
na pūchh kūcha-e-jānāñ kī rahguzar 'nāyāb'
hanūz jazba-e-dil aazmā ke dekhte haiñ
tap-e-alam ko jigar mein chhupa ke dekhte hain
hum aag apne hi ghar ko laga ke dekhte hain
KHuda ko dekhte hain yun hum us ki surat mein
ki goya samne apne biTha ke dekhte hain
wo bole dekh ke shishe mein apni surat ko
shabih-e-hazrat-e-yusuf manga ke dekhte hain
chura liya mere pahlu se dil jinhon ne mera
ab un ko dekho wo aankhen chura ke dekhte hain
na puchh kucha-e-jaanan ki rahguzar 'nayab'
hanuz jazba-e-dil aazma ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.