tapish kyon baDh rahi hai raston ki
tapish kyoñ baḌh rahī hai rāstoñ kī
qazā aane ko hai kyā ābloñ kī
hamāre haath hiirā ho ga.e haiñ
ghisā.ī karte karte pattharoñ kī
havā ke saath chalnā paḌ rahā hai
baḌī majbūriyāñ haiñ bādaloñ kī
jahāñ tak saath le jaa.eñ havā.eñ
vahīñ tak zindagī hai ḳhushbuoñ kī
yaqīnan phuul koī khil gayā hai
nahīñ to bhiiḌ kyoñ hai titliyoñ kī
usī ke sāmne ro.ūñgā jā kar
jo qīmat jāntā hai āñsuoñ kī
haTā kar 'chāñd' ne chehre se parda
zabāneñ kaaT diiñ tārīkiyoñ kī
tapish kyon baDh rahi hai raston ki
qaza aane ko hai kya aablon ki
hamare hath hira ho gae hain
ghisai karte karte pattharon ki
hawa ke sath chalna paD raha hai
baDi majburiyan hain baadalon ki
jahan tak sath le jaen hawaen
wahin tak zindagi hai KHushbuon ki
yaqinan phul koi khil gaya hai
nahin to bhiD kyon hai titliyon ki
usi ke samne rounga ja kar
jo qimat jaanta hai aansuon ki
haTa kar 'chand' ne chehre se parda
zabanen kaT din tarikiyon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.