tapte sahraon pe garja sar-e-dariya barsa
tapte sahrāoñ pe garjā sar-e-dariyā barsā
thī talab kis ko magar abr kahāñ jā barsā
kitne tūfānoñ kī hāmil thī lahū kī ik buuñd
dil meñ ik lahr uThī aañkh se dariyā barsā
koī ġharqāb koī māhī-e-be-āb huā
abr-e-be-faiz jo barsā bhī to kaisā barsā
chaḌhte dariyāoñ meñ tūfān uThāne vaale
chand būñdeñ hī sar-e-dāman-e-sahrā barsā
tanz haiñ soḳhta-jānoñ pe garajte bādal
yā to ghanghor ghaTā.eñ na uThā yā barsā
abr-o-bārāñ ke ḳhudā jhūmtā bādal na sahī
aag hī ab sar-e-gulzār-e-tamanna barsā
apnī qismat ki ghaTāoñ meñ bhī jalte haiñ 'farāz'
aur jahāñ vo haiñ vahāñ abr kā saaya barsā
tapte sahraon pe garja sar-e-dariya barsa
thi talab kis ko magar abr kahan ja barsa
kitne tufanon ki hamil thi lahu ki ek bund
dil mein ek lahr uThi aankh se dariya barsa
koi gharqab koi mahi-e-be-ab hua
abr-e-be-faiz jo barsa bhi to kaisa barsa
chaDhte dariyaon mein tufan uThane wale
chand bunden hi sar-e-daman-e-sahra barsa
tanz hain soKHta-jaanon pe garajte baadal
ya to ghanghor ghaTaen na uTha ya barsa
abr-o-baran ke KHuda jhumta baadal na sahi
aag hi ab sar-e-gulzar-e-tamanna barsa
apni qismat ki ghaTaon mein bhi jalte hain 'faraaz'
aur jahan wo hain wahan abr ka saya barsa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.