taqdir ho KHarab to tadbir kya kare
taqdīr ho ḳharāb to tadbīr kyā kare
hāthoñ meñ dam agar nahīñ shamshīr kyā kare
mujh ko añdheroñ meñ hī bhaTaknā hai umr-bhar
jab aañkh hī nahīñ hai to tanvīr kyā kare
āzād ho gayā hai vo duniyā kī qaid se
us kā bulāvā aayā to zanjīr kyā kare
daulat hai mere haath meñ dil ko sukūñ nahīñ
chain aur qarār ke liye jāgīr kyā kare
gum ho gayā shikār nigāhoñ ke sāmne
TuuTī ho jab kamān to phir tiir kyā kare
taqdir ho KHarab to tadbir kya kare
hathon mein dam agar nahin shamshir kya kare
mujh ko andheron mein hi bhaTakna hai umr-bhar
jab aankh hi nahin hai to tanwir kya kare
aazad ho gaya hai wo duniya ki qaid se
us ka bulawa aaya to zanjir kya kare
daulat hai mere hath mein dil ko sukun nahin
chain aur qarar ke liye jagir kya kare
gum ho gaya shikar nigahon ke samne
TuTi ho jab kaman to phir tir kya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.